Is haal-e-gham-e-zindagi me maine pucha ,
Aye meri zainab kya tum bhi chhor dogi mujhe ,
Usne apne aansun poch ke kaha ,
Meri jaan kabhi bhi nahi….
Sitaaron ko bahut guroor tha ki chand unke pass hai,
Sitaaron ko bahut guroor tha ki chand unke pass hai,
Jab dekha meri Zainab ko to , Sitaaren bhi toot ke girne lage,
Rah ke falak pe , ab zameen ki khawahish karne lage……
Eid pe arif is kadar roya foot foot ke ,,
jab dekha Maa ke sir pe odhni fati hui..
Ab log is kadar giri hui nazron se dekhte hai mujhe “arif“
kya karun ab mujh pe mere walid saheb ka saya na raha…
Mere ghar ke aaine mujhse joth bolte hai ,
Mera dil to rota hai par na jane kyun mujhe hansta hua hi dikhate hai..
Na jane kya baat aayan hai mere chehre pe,,
Ki dekhte hi log mujhe jeene ki dua dete hai…
Kal shab maine jana muflisi kise kahte hai arif,,
Jab ek masoom se bachche ne mujhse yun pucha,
kya koi aisi bhi dawa hai jisse bhokh na lage..
Mujhko paane ki khawahish tmhe bhi ho jati aye hushn walo…
Jo dekh paate mujhko meri maa ki ankhon se….
Badi mushkil me hogi uski bhi zindagi ,,,
Jisne bhi mera naam pyar se pukara hoga…
Meri likhi kitaab ko mere hi hathon me deke wo kahne lagi,,,
Arif ise parha karo mohabbat karna seekh jaoge…
Meri khamoshi ko dekh Ek shahib-e-ilm yeh bola,,,
Teri sadgi batati hai tujhe hansne ka bahut shauk tha ….
Main yeh kaise kah dun ki mera naseeb kharab hai, aye arif
Meri kismat usne likhi hai jo mujhse sattar maa se zyda pyar karta hai…
Muflisi is kadar roti hai mujhse lipat kar ,,,
jaise uska bhi koi nahi mere siwa …
Kuch isliye bhi apni khwahishon ko maar deta hun,,,
Mera zameer kahta hai arif tu ghar ka bada hai tujhpe zimmedariya bahut hai….
Wo kahti thi mere sanso pe haq srf arif tumhara hai….
Aaj chand-log ko dekh ke kahti hai mera hath chor do meri izzat ka sawal hai….
Waqt mila to teri julfon ko suljha dunga aye meri zainab,,,,
Abhi uljha hun zara zindagi ki uljhano ko suljhane mein….
Aapke paon ( leg ) bahut khubsurat hai aye meri zainab,,,,
Aapke paon be-inteha khubsurat hai aye meri zainab,,,,
Kya yahi khubsurat paon mere bachon ki jannat ban sakte hai…
Dil tumko diya hai tumhi is dil me rahogi aye meri zainab,,,,
Main musalman hun amanat mein khayanat nahi karta…
Maine pucha aye meri zainab kaise nikalti hai Ek pal me jaan,,,
Sath chalte hue usne ek pal me hath chor diya aur kaha aise….
Dunya ke chand-rasm nibha ke ek gair ne use apna bana liya,,,
Aur hum ta-umr chah ke bhi use apna na bana sake…
Badi der soch ke haqeem ne yeh kaha , aye Arif,,,,
Ishq ka ilaaj to luqman haqeem ke pas nahi tha to mai kaise de dun….
Libas dekh ke itna hume gareeb na jaan,,,
Aa ke dekh meri maa ki nazron se mai kisi sehzade se kam nahi…
Muddaton jiske intizar me humne umar guzar di,,,,
Aaj wo wapas lauti to mujhse wafa ke saboot mangti hai…
Bachpan se meri maa mujhe sahzada kahti rahi,,,
Aur wo mujhe muflisi me qaid samajh ke chali gayi…
Meri maut pe kisi ko zyda takleef nahi hogi,,,
Bas ek tanhai roegi ki uska humsafar chala gaya..
Kuch isliye bhi is hal-e-gham-e zindagi mein tujhse koi shikayat nahi karta,,,
Aye mere Allah , suna hai Allah apne bandon se sattar maa se zyda pyar karta hai…
Waqt ki taakat ka andesha is baat se hua mujhe , ki jise kabhi meri khamoshi rula deti thi,,,
Aaj wo khuda ka wasta deke mujhe chup rahne ko kahti hai..
“”Koi kahde unse ki hum unhe bhool jayenge ,
Koi kahde unse ki hum unhe bhool jayenge,
Phir na laut ke unki rahon me hum aayenge,,
Badi shiddat se us bewafa ko chaha tha,,
Dil tod diya aur chod gayi aansuon ko in nighaon mein,,
Kahte hai mohabbat sabko naseeb nahi hoti,,
Dekhna bewafa tere bhi sare khawab mitti me mil jayenge,,
Humne seekha hai laheron se mohabbat karna ,,
Humne seekha hai laheron se mohabbat karna,,
Dekhna Is Dil mein kisi aur ke liye jagah bana ke dikhaenge,,
Tu is baat ka mat kar ghamand ki main kaise jiyunga ,,
Tu is baat ka mat kar ghamand ki kaise jiyunga mai,,
Teri tarah tere dard-e-ishq ko bhi sene se lagayenge,,
Koi kahde unse ki hum unhe bhool jayenge,,
Phir na laut ke unki rahon mein aayenge,,
Ban ke dulhan tu kisi aur ke bahon mein hogi,,
Dard ko seene me chupa kar honthon se muskurayege,,
Nadan aur Na-samajh hai tu mere pyar se,,
Ek roz hum tumhe pyar ka matlab zarur sikh layenge,,
Meri wafa meri mohabbat dekhi hai tune,,
Meri wafa meri mohabbat dekhi hai tune,,
Tujhe nafrat ke bhi hadh ek din zarur dikhlayenge,,
Kisi ke dard pe muskurana bahut aasan hai,,
Kisi ke dard pe muskurana bahut aasan hai,,
Ek din dard ko bhi tere aankhon me layenge,,
Meri mohabbat pe hans ke guzar jane wale ,,
Meri mohabbat pe hans ke guzar jane wale ,,
Ek din dekhna apni mohabbat me tujhe aazmayenge,,
Royengi aur tadpegi tu bhi kisi ke pyar ke liye ,,
Royengi aur tadpegi tu bhi kisi ke pyar ke liye ,,
Dekhna Ek din tujhe teri hi nazron mein girayenge,,,
Har hathon ki uthti hui duon me mangegi mujhe,,
Har hathon ki uthti hui duon me mangegi mujhe,,
Phir na laut kar teri zindagi me hum aayenge,,
Koi kahde unse ki hum unhe bhool jayenge,,
Phir na laut ke unki rahon mein hum aayenge..””
Main toot ke kisi ke kaam na aaya , aye meri zainab,,
Kash khuda ne mujhe Ek phool hi bana diya hota,,
To aaj toot ke kisi Ek ke to kaam aa jata…
Usne kabhi kaha tha ab sachche ashiq sirf kitaabon me mila karte hai,,,
Koi jake use ittela kare ab Arif ka naam bhi kitaabon me aane laga hai…
Kal shab Arif ki chahaton ka janaza uth gaya,,,
Ab iddat mein Ta-umar guzarni hai , Arif tujhe…
Tanhai , khamoshi , ghumsudgi ne mujhe Is kadar jakda hai , aye meri zainab ,,,
Ki tu kabhi wapas aaye to shayad hi mujhe apna bana paye …
Uske shaher me afwah faili , Arif ka intiqal ho gaya ,,,
Phir uske chehre ki raunak ne Is afwah ko sachchai me badal diya …
Meri dard ki inteha dekh ke,,
Mere azeezon ne meri maut se pahle kafan khareeda hai….
Is kadar Masrufyat se waabasta hai meri zainab ,,,
Ki shayad hi use waqt mile mere janaze me shirkat karne ko….
Bahut hi ghamzada hoke tabeeb ne yeh khabar di hai ,,,
Mohabbat ka gham hai ise , Srf Mohabbat hi dawa hai iski ….
Mere likhe Dard bhare nagme sun ke wo wah-wah karne lagi ,,,,
Bhari mehfil mein usne youn ruswa kiya mujhe , Arif ……
Kal jab usne apni mehfil me mujhse salam daryaft kiya ,,,
Phir muddaton baad Arif ne apni awaaz suni …
Nazar jo padi Mujhpe to Darvesh foot foot ke rone laga ,,,
Pucha jo maine kya khata hui mujhse , To kaha kisne diya hai Arif tujhe gahm-e-tanhai ??
वो दौर और था आरिफ जब लोग अच्छी सीरत पसन्द किया करते थे ,,,
अब के दौर में अच्छी सूरत पसन्द करते है और अच्छी सीरत का ज़िक्र सिर्फ
किताबों में मिला करता हैं ।।
Awesome line …..
Bade hi umda shayari hai
Mashallah apki shayari dil ko chu jati hai…plz ar post kariye plz….
Arif azad ji apki baate dil ko chu jati hai…. aap ke daily update nhi rahte plz agr apka whatsapp no. mil jata …
8858541980
Nice line….arif
Bahut khoob…..
Mr Arif azad ur feelings are stunning really I want to know ur hurtness personally I hope you share ur feeling with me can you please give me your contact number?
Hope she would read all these lines.. 😉
Yp
of course coz these lines are awesome heart touching think u r jealous….
Your lines are awesome Mr azad ji in sha Allah u become a Mr famous 😊
Mr Arif ji apka lafze bayaan Bht umda h bt kya ye zainab jiska zikr apke har lafz me h kya wo srf apke khwabo khyalo me h ya zindagi me shariq hain?
Bahut Khoob Arif jii Bht hi pyara likhte hai aap
Mashallah dil kush ho gaya
Bahut hi umda hai
Buhat achhi shyari hai
nice awesome line …..one day u become a star inshallah…bs dard bht hai apme …
nice bro
seda dil pr laga bro
Outstanding work… ull surely go far !!
Bht badhiya bhai….Dil ke jakhm taza ho gye …..
nice …..heart touching line…
oo very nice lines mr arif azad ji ……
Mr. arif ji aapka youtube channel kis naam se hai…plz rply me or mail me .
mr arif azad can u plzzzzzzzz.. share ur you tube link plzzz…..
Behtreen Sayri h aapke heart touching
[…] https://adyblaze.com/arif/ […]